Hindi Songs Lyrics

Showing posts with label Yaariyan Movie Lyrics. Show all posts
Showing posts with label Yaariyan Movie Lyrics. Show all posts

Saturday, December 14, 2013

You're here: Home › 
› Mujhe Ishq Se


Song: Mujhe Ishq Se
Movie: Yaariyan
Singer(s): Tulsi Kumar

Mujhe ishq se rehna tha door
Gham iske bade jo hain mash'hoor
Par ye dil hai ki bilkul mana nahi
Mujhe kheench kar dekho le aaya wahin
Jahaan ishq hai, bas ishq hai
Haan ishq hai, bas ishq hai

Yaariyan ve.. Yaariyan ve..

Iss dard-e-dil ki sifaarish
Ab kar de koi yahaan
Ke mil jaaye ise woh baarish
Jo bhiga de poori tarah (x2)

Tu jo mila to zindagi hai badli
Main poori nayi ho gayi
Hai be-asar duniya ki baatein badi
Ab teri sunu main sadaa

Hmm..
Milne ko tujhse bahaane karun
Tu muskuraye wajah main banun
Roz bitana saath mein tere
Saara din mera

Iss dard-e-dil ki sifaarish
Ab kar de koi yahaan
Ke mil jaaye ise woh baarish
Jo bhiga de poori tarah (x2)

Kya hua asar tere sath reh kar na jaane
Ke hosh mujhe na raha
Lafz mere thhe zuban pe aake ruke
Par ho na sake woh bayaan
Dhadkan tera hi naam jo le
Aankhein bhi paigham yeh de
Teri nazar ka hi yeh asar hai
Mujhpe jo huaa..

Iss dard-e-dil ki sifaarish
Ab kar de koi yahaan
Ke mil jaaye ise woh baarish
Jo bhiga de poori tarah (x2)


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar
 

You're here: Home › 
› Zor Lagaake Haishaa


Song: Zor Lagaake Haishaa
Movie: Yaariyan
Singer(s): Vishal Dadlani

Hum jawaan khoon ki garmi se
Narmi se ya besharmi se
Hum jawaan khoon ki garmi se
Narmi se ya besharmi se

Jo thaan liya kar jayenge
Ab jeet ke hi ghar jayenge
Jo thaan liya kar jayenge
Ab jeet ke hi ghar jayenge

Chal zor laga ke haishaa
Chal kadam badha ke haishaa
Chal zor lagaake haishaa
Chal kadam badha ke haishaa
Iraadon mein hai dum
Hawa ke hum kadam

Aazaadiyon ki kya hadein
Na hausalon ki hai sarhadein
Hum parvaton ko cheer dein
Hum aandhiyon ko na raah dein

Ho ishq ya jung zamaane se
Dono mein jeet zaroori hai
Duniya ke apne laalach hain
Dil ki apni majboori hai
Yeh baat bata ke jaayenge
Hum khwaab saja ke jayenge
Yeh baat bata ke jayenge
Hum khwaab saja ke jayenge...

Chal zor laga ke haishaa
Chal kadam badha ke haisha
Chal zor lagaake haisha
Chal kadam badha ke haishaa
Iraadon mein hai dum
Hawa ke hum kadam

Kya dooriyan, kya faasle
Be-khauf se yunhi chalte chale
Yeh jaanti hai manzilein
Toofan hai kayi pairon tale

Hum khushiyon ke hain saudagar
Sabke aansu pee jaate hain
Jab jug samjhe be-jaan humein
Hum hanste hain, jee jaate hain
Yeh aadat bohat puraani hai
Hum Hindi Hindustani hain
Yeh aadat bohat puraani hai
Hum Hindi Hindustani hain

Chal zor laga ke haisha
Jhanda fehra ke haisha
Chal zor lagaake haisha
Sab saath nacha ke haisha
Chal pyaar jataa ke haisha
Jana Gana Mana gaa ke haisha
Iraadon mein hai dum
Hawa ke hum kadam


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar
 

You're here: Home › 
› Meri Maa


Song: Meri Maa
Movie: Yaariyan
Singer(s): KK, Anupam Amod

Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Maa.... o maa!

Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Ek chhoti si phoonk se teri
Sabhi dard mere hote thhe gum

Aaj bhi koi chot lage to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum

Maa.. meri maa.. meri maa....
O maa.. meri maa, meri maa.. maa..

Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyada kha leta tha

Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyada kha leta tha
Tera hissa main
Tera qissa main
Jo sabko sunaati ho tum

Aaj bhi meri baat chale to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri, aankh bhare to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum..

Maa.. meri maa.. meri maa....
Maa.. meri maa, meri maa.. maa..

Kone ko thaame tere aanchal ke
Be-fikra main so jaata tha
Mere dil mein kya
Hai tere bina maa
Koi samjha hi naa pata tha
Jo ho sang tu na
To ho jag suna
Pyaar itna jataati ho tum

Aaj bhi koi ... lage to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum

O meri maa.. meri maa....
meri maa, meri maa.. maa..


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar
 

You're here: Home › 
› Love Me Thoda Aur


Song: Love Me Thoda Aur
Movie: Yaariyan
Singer(s): Arijit Singh & Monali Thakur

O ho ho o...

Shaayaron se lafz leke thode se udhaar
Bolna ye chahta hun dil se tumko yaar
Ho raha tha, ho gaya hai halka sa khumaar
Koi naa raha hai dil pe apne zor

Love me thoda aur!
Let me tell you tonight
When the stars are shining bright
Love me thoda aur!
Just take my hand in your hand
And then don't you let it go
Love me thoda aur!
All I need is the time
When I promise that you'll be mine*
Love me thoda aur!
With you by my side
I know I'll be fine

O ho ho o...

Teri baaton ki pyaari si, meethi si khushboo main leke saath mein
Muskuraata sa, neendon se, khwabon se milta hoon main to raat mein
Yeh adaa hai nayi
Yeh adaa aa gayi
Tu jo mila, kabhi na kiya tha
Khud pe itna gaur

Love me thoda aur!
Let me tell you tonight
When the stars are shining bright
Love me thoda aur!
Just take my hand in your hand
And then don't you let it go
Love me thoda aur!
All I need is the time
When I promise that you'll be mine*
Love me thoda aur!
With you by my side
I know I'll be fine

Tum ho ya na ho
Lagta hai jaise ki ab tum hi to ho
Har ghadi ho.. milta tumse hoon
Jitna main utni hi milne ki wajah hai badhi
Milne ki koshishein,
Pyar ki khwahishein hoti rahein
Tujhe dekh ke hai saansein karti shor

Love me thoda aur!
Let me tell you tonight
When the stars are shining bright
Love me thoda aur!
Just take my hand in your hand
And then don't you let it go
Love me thoda aur!
All I need is the time
When I promise that you'll be mine
Love me thoda aur!
With you by my side
I know I'll be fine

O ho ho ho o....


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar
 

You're here: Home › 
› Allah Waariyan


Song: Allah Waariyan
Movie: Yaariyan
Singer(s): Shafqat Amanat Ali

Apne roothein, paraaye roothein
Yaar roothe naa
Khwaab tootein, waade tootein
Dil ye toote naa (x2)

Roothe to khuda bhi roothe
Saath chhoote naa (x2)

O Allah Waariyan
O main toh haariyan
O tooti yaariyan mila de oye! (x2)

Udte patangon mein
Holi waale rangon mein
Jhoomenge phir se dono yaar (x2)

Waapas to aaja yaar
Seene se laga ja yaar
Dil to huey hain zaar-zaar

Ho apne roothein, paraaye roothein
Yaar roothe naa
Khwaab toote, waade toote
Dil yeh toote naa
Roothe toh khuda bhi roothe
Saath chhoote naa
Roothe to khuda bhi roothe
Saath chhoote naa

O Allah waariyan
O main toh haariyan
O tooti yaariyan mila de oye! (x2)

Reh bhi na paayein yaar
Seh bhi na paayein yaar
Behti hi jaaye dastaan (x2)

Umr bhar ka intezaar
Ik pal bhi na qaraar
Ungli pe nachaaye dastaan

Ho apne roothe, paraaye roothe
Yaar roothe naa...
Khwaab toote, waade toote
Dil yeh toote naa..
Roothe to khuda bhi roothe
Saath chhoote naa
Roothe to khuda bhi roothe
Saath chhoote naa

O Allah wariyan
O main toh haariyan
O tooti yaariyan mila de oye! (x4)


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar
 

You're here: Home › 
› Sunny Sunny



Song: Sunny Sunny
Movie: Yaariyan
Singer(s): Honey Singh

Aaj blue hai paani
Paani pani paani paani paani
Aur din bhi sunny
Sunny sunny sunny sunny sunny
Aajaao on the beach yaar
Photo meri kheench, phooti kismat hogi teri
Gar tune ye baat na maani (x2)

O ho... O ho...

Sunset ka time ho
Thandi-thandi ret ho
Let's go to party yaara
Mujhse na ab wait ho
Music chala do
Shuru karo party ho gayi der
Bottle pila do mujhko
Bas phir yaara, i don't care

Aaj blue hai paani
Paani pani paani paani paani
Aur din bhi sunny
Sunny sunny sunny sunny sunny
Aajaao on the beach yaar
Photo meri kheench
Phooti kismat hogi teri
Agar tune ye baat na maani (x2)

O ho... O ho...

Ehe he he..
Tera pyaar.. that's all i need
O mere yaar!

Ek tu ho, main hoon
Aur sea-side pe paani ka shor
Aaja meri baahon me Girl what you waiting for
Tujhko me leke chalun phir pyari si yacht pe
Ho jaayenge hum talli Malibu ke shot pe

Aaj blue hai paani
Paani pani paani paani paani
Aur din bhi sunny
Sunny sunny sunny sunny sunny
Aajaao on the beach yaar
Photo meri kheench phooti kismat hogi teri
Gar tune ye baat na maani (x2)

o ho.. o ho...


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar
 

You're here: Home › 
› Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish)



Song: Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish)
Movie: Yaariyan
Singer(s): Mohammed Irfan

Yaariyan ve... Yaariyan
Yaariyan ve... yaariyan ve..
Yaariyaan... yaa....

Dil mera hai nasamajh kitna
Besabar ye bewkoof bada
Chahta hai kitna tujhe
Khud magar nahi jaan sakaa

Is dard-e-dil ki sifarish
Ab kar de koi yahaan
Ki mill jaaye isey woh baarish
Jo bhigaa de poori tarah (x2)

Yaariyan ve... Yaariyan...

Kya huaa asar tere saath reh kar naa jaane
Ki hosh mujhe naa raha
Lafz mere thhe zubaan pe aake ruke
Par ho na sake woh bayaan
Dhadkan tera hi naam jo le
Aankhein bhi paighaam ye de
Teri nazar ka hi ye asar hai
Mujh pe jo huaa

Is dard-e-dil ki sifaarish
Ab kar de koi yahaan
Ki mill jaaye isey woh baarish
Jo bhiga de poori tarah (x2)

Tu jo mila
Toh zindagi hai badli
Main poora naya ho gaya
Hai be-asar duniya ki baatein badi
Ab teri sunu main sadaa

Milne ko tujhse, bahaane karun
Tu muskuraaye, wajah main banun
Roz bitaana saath mein tere, saara din mera

Is dard-e-dil ki sifaarish
Ab kar de koi yahaan
Ki mill jaaye isey woh baarish
Jo bhiga de poori tarah (x4)


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar
 

Friday, December 13, 2013

You're here: Home › 
› A for Aao re aao Lyrics - ABCD



Song: A for Aao re aao Lyrics - ABCD
Movie: Yaariyan
Singer(s): Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares

Yo Yo Honey Singh!

Raat ko hoga hungama
Jab chamkega chanda mama
Suit boot ko goli maaro
Pehan ke aa jaao pajama (x2)

Yaaron ki yaari
Taazi karaari
Uspe hai mauqa
Phir kaahe ki duniyadari

Music lagaaye
Mehfil jamaaye
Duniya ki aisi ki taisi
No zimmedaari
Woh o o...
Kya chhora... o o
Kya chhori... o o
Say everybody..
Say woh o...
Hai hum bhi.. o o
Ho tum bhi.. o o
Toh chaalu ho pajama party

A for Aao re aao
B for Bhaao na khaao
C se Chilla ke gaao
D se Daaru peete jaao (x2)

O o...

Thode sayaane zyada deewane
Teacher ke lecture ko dirty picture bana de
Jitne bigaadu utne jugaadu
College ke campus ko rocking disco bana de
Woh o...
Kasam se.. o o
hai humse.. o o
Duniya saari say woh o...
Hai hum bhi.. o o
Ho tum bhi.. o o
Toh chaalu ho pajama party

A for Aao re aao
B for Bhaao na khaao
C se Chilla ke gaao
D se Daaru peete jaao (x2)

Raat ko hoga hungama
Jab chamkega chanda mama
Suit boot ko goli maro
Pehan ke aa jaao pajama

Pajama loose loose
Butter chicken and some booze
Kudiyon ka laga hai buffet
Chaahe jo kar lo choose

Ek ya do
Do ya teen
Kis kis ko main karu choose
Yahaan sab hi hai haseen haseen

Ye kudiyaan mujhse
Kya kya karwayengi
Mera astrologer bhi hai kehta
Tujhko ladkiyan marwayengi

Woh o o...
Kya chhora... o o
Kya chhori... o o
Say everybody..
Say woh o...
Hai hum bhi.. o o
Ho tum bhi.. o o
Toh chaalu ho pajama party

A for Aao re aao
B for Bhaao na khaao
C se Chilla ke gaao
D se Daaru peete jaao (x2)


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar