You're here: Home › 
› Meri Maa


Song: Meri Maa
Movie: Yaariyan
Singer(s): KK, Anupam Amod

Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Maa.... o maa!

Jab chot kabhi mere lag jaati thi
To aankh teri bhi to bhar aati thi
Ek chhoti si phoonk se teri
Sabhi dard mere hote thhe gum

Aaj bhi koi chot lage to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum

Maa.. meri maa.. meri maa....
O maa.. meri maa, meri maa.. maa..

Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyada kha leta tha

Teri baaton mein apni har ik main
Uljhan ka hall pa leta tha
Tere hathon ki roti aksar hi
Bhookh se zyada kha leta tha
Tera hissa main
Tera qissa main
Jo sabko sunaati ho tum

Aaj bhi meri baat chale to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri, aankh bhare to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum..

Maa.. meri maa.. meri maa....
Maa.. meri maa, meri maa.. maa..

Kone ko thaame tere aanchal ke
Be-fikra main so jaata tha
Mere dil mein kya
Hai tere bina maa
Koi samjha hi naa pata tha
Jo ho sang tu na
To ho jag suna
Pyaar itna jataati ho tum

Aaj bhi koi ... lage to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum
Aaj bhi meri aankh bhare to
Yaad aati ho, yaad aati ho tum

O meri maa.. meri maa....
meri maa, meri maa.. maa..


Other songs from the same movie, Yaariyan.
  1. A for Aao re aao Lyrics - ABCD - Honey Singh, Benny Dayal, Shefali Alvares
  2. Baarish (Dard-e-Dil ki Sifarish) - Mohammed Irfan
  3. Sunny Sunny - Honey Singh
  4. Allah Waariyan - Shafqat Amanat Ali
  5. Love Me Thoda Aur - Arijit Singh & Monali Thakur
  6. Meri Maa - KK, Anupam Amod
  7. Zor Lagaake Haishaa - Vishal Dadlani
  8. Mujhe Ishq Se - Tulsi Kumar