Hindi Songs Lyrics

Showing posts with label jagjit singh lyrics. Show all posts
Showing posts with label jagjit singh lyrics. Show all posts

Monday, September 24, 2012

Song: Zara Chehare Se Kamli
Singer: Jagjit Singh

zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah
hamein bhi apna deevaana bana do ya rasoolallaah
zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah

muhabbat gair se meri chuda do ya rasoolallaah
meri soyi hui qisamat jaga do ya rasoolallah
zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah

badi qisamat hamaari hai ke ummat mein tumhaari hai
bharosa deen-o-duniya mein tumhaara ya rasoolallaah
zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah

andheri qabr mein mujh ko akela chod jaayenge
vahaan ho fazl se tere ujaala ya rasoolallaah
zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah

kuda mujh ko madeene mein jo pahunchaaye to behatar hai
ke roze par hi de doon jaan ja kar ya rasoolallaah
zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar
Singer: Jagjit Singh

Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai

Na Baadlon Ke Chhaon Mein Na Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eent-Pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Jo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki
Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki
Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki
Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai
Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai
Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai
Hamaare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Woh Nahi Mila Toh Malaal Kya
Singer: Jagjit Singh

woh nahi mila toh manaal kya
woh nahi mila toh manaal kya
jo gujar gaya so gujar gaya
woh nahi mila toh manaal kya
jo gujar gaya so gujar gaya
usse yaad karke na dil dukha
usse yaad karke na dil dukha
jo gujar gaya so gujar gaya
woh nahi mila toh manaal kya
jo gujar gaya so gujar gaya

na gila kiya na khafa hue
yunhi raasten mein judaa hue
na gila kiya na khafa hue
yunhi raasten mein judaa hue
yunhi raasten mein judaa hue
na tu bewafa na main bewafa
na tu bewafa na main bewafa
jo gujar gaya so gujar gaya
usse yaad karke na dil dukha
usse yaad karke na dil dukha
jo gujar gaya so gujar gaya

tujhe ek baar o yakeen nahi
nahi duniya itani buri nahi
tujhe ek baar o yakeen nahi
nahi duniya itani buri nahi
na malaal kar mere saath aa
na malaal kar mere saath aa
jo gujar gaya so gujar gaya

woh vafaayen thi ki jafaayen thi
yeh na soch kiski khataayen thi
woh vafaayen thi ki jafaayen thi
yeh na soch kiski khataayen thi
yeh na soch kiski khataayen thi
woh tera hai usko gale laga
woh tera hai usko gale laga
jo gujar gaya so gujar gaya
woh nahi mila toh malaal kya
jo gujar gaya so gujar gaya
usse yaad karke na dil dukha
usse yaad karke na dil dukha
jo gujar gaya so gujar gaya
woh nahi mila toh malaal kya
jo gujar gaya so gujar gaya
jo gujar gaya so gujar gaya
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Tumko Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
Singer: Jagjit Singh

Tumko dekhaa to ye kayaal aayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa
tumako...

aaj phir dilane ek tamannaa kii - (2)
aaj phir dilako hamane samajhaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

tum chale jaaoge to soche nge - (2)
hamane kyaa khoyaa- hamane kyaa paayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

ham jise gunagunaa nahii n sakate - (2)
vaqt ne aisaa giit kyuu n gaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Tum Paas Aa Rahe Ho
Singer: Jagjit Singh

Dheere, dheere, dheere, dheere, aankhon mein chhaa rahe ho
Tum paas aa rahe ho
Chupke, chupke, chupke, chupke, dil mein sama rahe ho
Tum paas aa rahe ho
Dheere, dheere
Chupke, chupke

Jhukti huwi ye palkein, khulte huwe ye gesoo -2
Ye sharm ki adaayein, woh shokhiyon ka jaadoo
Kaise, kaise, kaise, kaise, sapne dikha rahe ho
Tum paas aa rahe ho
Dheere, dheere
Chupke, chupke

Phoolon bhare, nazaare, ye khushbuwon ke dere -2
Lagte hain, khwaab jaise, ye shaam ye savere
Holle, holle, holle, holle, armaan jaga rahe ho
Tum paas aa rahe ho
Chupke, chupke
Dheere, dheere, aankhon mein chhaa rahe ho
Tum paas aa rahe ho
Aa haa haa… haa.. ho ho ho
Hmm… la la la


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Tujhe Dhoondhata Tha Main
Singer: Jagjit Singh

tujhe dhoondhata tha main chaar su
teri shaan jall-e-jalaalahu

tu mila qareeb-e-rag-e-gulu
teri shaan jall-e-jalaalahu
tujhe dhoondhata tha main chaar su

teri yaad mein hai kali kali
hai chaman-chaman hoo-al-ali
tu basa hai phool mein hoobahu
teri shaan jall-e-jalaalahu
tujhe dhoondhata tha main chaar su

tere huqm se jab hawa chali
to chatak ke boli kali kali
hai kareem tuu, hai raheem tuu
teri shaan jall-e-jalaalahu
tujhe dhoondhata tha main chaar su

tera jalawa donon jahaan mein hai
tera noor kaun-o-makaan mein hai
yahaan tu hi tuu, wahaan tu hi tu
teri shaan jall-e-jalaalahu
tujhe dhoondhata tha main chaar su


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Tu Hai Shikhar
Singer: Jagjit Singh

la,la,la,la,la,la.. la,la,la,la,la..
la,la,la,la,la,la,la

la,la,la,la,la,la.. la,la,la,la,la..
la,la,la,la,la,la,la

neele neele aasmaa me tu hai,
naazo si kaliyon me tu hai,
dharti ki halchal me tu hai,
jeevan ke har pal me tu hai,
(hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar)-2
(tu hai mann ki shakti, asha hai sabki,
tu hi sabka saathi re)-2

hmmmmmmmmmm... sooraj ki garmi me tu hai,
hawaayon ki narmi me tu hai,
behate huye jharno me tu hai,
panchhi ki udaano me tu hai,
haan sab dhoondhte hain yahaan apna apna shikhar,
hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar.
(tu hai mann ki shakti, asha hai sabki,
tu hi sabka saathi re)-2

hmmmmmmmmmmm... anand ki har saans tu hai,
pal pal ki ik aas tu hai,
sab door hai paas tu hai,
jag dhoop hai chhanv tu hai,
hum pehchaane kaise niraakaar tera shikhar,
hey ishwar tu jaane yahaan kya hai kiska shikhar.
hey ishwar tu hai sabki raahon ka saccha shikhar...
shikhar.


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Teri Aankhon Se Hi (Male Version)
Singer: Jagjit Singh

teri aankhon se hi jaage soyein ham -2

teri aankhon se hi jaage soyein ham
kab tak aakhir -2
kab tak aakhir tere gham ko royein ham
teri aankhon se hi jaage soyein ham

vaqt kaa marham zakhmon ko bhar detaa hai -2
shishe ko bhi ye patthar kar detaa hai
raat mein tujh ko paayein, din mein khoyein ham
teri aankhon se hi jaage soyein ham

har aahat par lagtaa hai, tu aayaa hai -2
dhoop hai mere pichhe, aage saayaa hai -2
khud apni hi..
khud apni hi laash ko kab tak dhoyein ham
teri aankhon se hi jaage soyein ham -2
kab tak aakhir -2
kab tak aakhir tere gham ko royein ham
teri aankhon se hi jaage soyein ham

aa.... aa....
aa.... aa.... aa.... aa....


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Tere Khayaal Ki
Singer: Jagjit Singh

Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain -2
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe -2
Woh mere dost hai, teri wafa mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Firaaq-e-yaar mein saanson ko rok ke rakhte hain -2
Harek lamha guzarti qaza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Na baat poori huwi thi, ke raat toot gayi -2
Adhure khwaab ki aadhi saza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain

Tumhaari baaton mein koyi masiha basta hai -2
Haseen labon se barasti shabha mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Tareef Us Khuda Ki
Singer: Jagjit Singh

taareef us khuda ki jis ne jahaan banaya
kaisi zameen banaayi, kya aasamaan banaya

mitti se bel boote kya khushnuma ugaaye
pehna ke sabz khillat unko jawaan banaaya

suraj se ham ne payi garmi bhi roshani bhi
kya khoob chashma tu ne ae meharbaan banaya

har cheez se hai us ki kaarigari tapakti
ye kaarkhana tu ne kab raigaan banaya
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Taaii Din Naa Javaanii Naal Chaladii
Singer: Jagjit Singh

Taaii din naa javaanii naal chaladii - 2
kuratii malamal dii

atharii terii javaanii ku diye tere vaasa naa re nha ndii - 2
saa de dil nuu laa bulaave tere hatthaa n dii me nha ndii
nit sulade dii laat vaa nguu n baladii - 2
kuratii malamal dii
taaii din naa ...

tere kolo n turanaa sikkhe pa nj dariyaa de paanii - 2
jaa tuu koii hiir saletii- jaa koii phuulaa n raanii
nit ku diyaa n de vich nahiiyo n raladii - 2
kuratii malamal dii

patalii kuratii de vichcho n hii ruup jhaatiyaa n maare
a ng a ng teraa tapadaa re nha ndaa- luu n luu n kare ishaare
jhuttii khaladii maro daa nahiiyo n jhaladii - 2
kuratii malamal dii
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Sunte Hain Ke Mil Jaati Hai
Singer: Jagjit Singh

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge Khuda se

Duniya bhi mili hai,
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahin milta
jise maanga tha khuda se

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge khuda se
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Sun Li Jo Khuda Ne Woh Duaan
Singer: Jagjit Singh

sun li jo khuda ne woh duaan tum toh nahi ho
sun li jo khuda ne woh duaan tum toh nahi ho
darwaze pe dastak ki sada tum toh nahi ho
darwaze pe dastak ki sada tum toh nahi ho
sun li jo khuda ne woh duaan tum toh nahi ho

mehsoos kiya tumko toh gili hui palken
mehsoos kiya tumko toh gili hui palken
bheege hue mausam ki adaa tum toh nahi ho
bheege hue mausam ki adaa tum toh nahi ho
darwaze pe dastak ki sada tum toh nahi ho
sun li jo khuda ne woh duaan tum toh nahi ho

anjaani si raahon mein kahi koi bhi mera
anjaani si raahon mein kahi koi bhi mera
kisne mujhe apana kaha tum toh nahi ho
kisne mujhe apana kaha tum toh nahi ho
darwaze pe dastak ki sada tum toh nahi ho
sun li jo khuda ne woh duaan tum toh nahi ho

duniya ko bahal haal gile shikwe rahenge
duniya ko bahal haal gile shikwe rahenge
duniya ki tarah mujhse khafa tum toh nahi ho
duniya ki tarah mujhse khafa tum toh nahi ho
darwaze pe dastak ki sada tum toh nahi ho
sun li jo khuda ne woh duaan tum toh nahi ho
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Shaayad Mai N Zindagii Kii
Singer: Jagjit Singh

shaayad mai n zindagii kii sahar leke aa gayaa
kaatil ko aaj apane hii ghar leke aa gayaa

taa-umr dhuu ndhataa rahaa ma nzil mai n ishq kii
a njaam ye ki gard-e-safar leke aa gayaa

nashtar hai mere haath me n- ka ndho n pe mayaqadaa
lo mai n ilaaj-e-dard-e-jigar leke aa gayaa

"faakir" sanamakade me n na aataa mai n lautakar
ik zakm bhar gayaa thaa idhar leke aa gayaa
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Shaam Se Aankh Mein
Singer: Jagjit Singh

shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kami si hai
shaam se aankh mein nami si hai

dafan karr do humme ke sans mille
nabaj kuch derr se thami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai

waqt rehta nahin kahi tikk karr
iski aadat bhi aadami si hai
iss ki aadat bhi aadami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai

koi rishta nahin raha phir bhi ek tasvir lajmi si hai
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Sach Ye Hai Bekaar Hamen
Singer: Jagjit Singh

sach ye hai bekaar hamen Gham hotaa hai -2
jo chaahaa thaa duniyaaN mein kam hotaa hai
sach ye hai bekaar hamen Gham hotaa hai

Dhaltaa suraj phailaa jangal rastaa gum -2
hamse poochho kaisaa aalam hotaa hai -2

GhairoN ko kab fursat hai dukh dene ki
jab hotaa hai koi hamdam hotaa hai
sach ye hai bekaar hamen Gham hotaa hai

zaKhm to hamne in aaNkhoN se dekhe hain -2
logoN se sunte hain marham hotaa hai -2

zahan ki shaaKhoN par ash_aar aa jaate hain -2
jab teri yaadoN kaa mausam hotaa hai -2
jo chaahaa thaa duniyaaN mein kam hotaa hai
sach ye hai bekaar hamen Gham hotaa hai
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Raat Ankhon Main Dhali
Singer: Jagjit Singh

raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye

bas gayi hain mere ehsaas main yeh kaisi mehak
bas gayi hain mere ehsaas main yeh kaisi mehak
koi khusbu main lagau teri khusbu aaye
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye

usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
muddato baad mere aankh main aansu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye

maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aayi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aayi
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Pyaar Muz Se Jo Kiyaa To Kyaa Paaogee
Singer: Jagjit Singh

pyaar muz se jo kiyaa to kyaa paaogee
mere haalaat kee aandhee me, bikhar jaaogee

ranj aaur dard kee bastee kaa, main baashindaa hoo
ye to bas main hoo, ke is haal mein bhee jindaa hoo
khwaab kyoo dekhoo, kal jis pe main sharamindaa hoo
mai jo sharamindaa huaa, tum bhee to sharamaaogee

kyoo mere saath koee aaur pareshaan rahe
meree duniyaan hain jo wiraan to weeraan rahe
jindagee kaa ye safar tum pe to aasaan rahe
humasafar muz ko banaaogee to pachhataaogee

yek main kyaa abhee aayenge diwaane kitane
abhee gunjenge mohabbat ke taraane kitane
jindagee tum ko sunaayegee fasaane kitane
kyo samazatee ho muze bhool naheen paaogee
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: Patthar Hai Khudaa
Singer: Jagjit Singh

patthar hai khudaa- patthar ke sanam- patthar ke hii inasaan paae hai n
tum shahar-e-mohabbat kahate ho- ham jaan bachaake aae hai n

butakaanaa samajhate ho jisako- puuchho na vahaa n kyaa haalat hai
ham log vahii n se laute hai n- bas shukr hai ke laut aae hai n

ham soch rahe hai n muddat se- ab umr guzaare nge bhii to kahaa n
saharaa me n kushii ke phuul nahii n- sharao n me gamii ke saae hai n

ho ntho n pe tabassum halakaa saa- aa nkho n me n namii sii hai faakir
ham ahl-e-mohabbat par aksar aise bhii zamaane aae hai n

patthar hai khudaa ...
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.

Song: O Maa Tujhe Salaam
Singer: Jagjit Singh

jo bhi gaya is jahaan ki nazar se dekho use kabhi ek maa ki nazar se
(o maa o maa o maa o maa, (o maa tujhe salaam - 2)
apane bachche tujhako pyaare raavan ho ya ram) - 2, raavan ho ya ram

bachche tujhe sataate hain baraso tujhe rulaate hain
dudh toh kya asuan ki bhi kimat nahi chukaate hain - 2
hansakar maaf tu kar deti hai unake dosh tamaam
ay maa ay maa ay maa ay maa, (ay maa tujhe salaam - 2)
apane bachche tujhako pyaare raavan ho ya ram, raavan ho ya ram

aisa natkhat tha ghanshaam tang tha saara gokul dhaam - 2
magar yashoda kehati thi - 2 juthe hai ye log tamaam
mere laal ko karatein hain saare yu hi badnaam
o maa tujhe salaam - 2
apane bachche tujhako pyaare raavan ho ya ram raavan ho ya ram

tera dil tadap utha jaise teri jaan gayi
itani der se roothi thi (kitani juldi maan gayi - 2)
apane laadale ke mooh se sunatehi apana naam
o maa o maa o maa o maa, (o maa tujhe salaam - 2)
apane bachche tujhako pyaare raavan ho ya ram raavan ho ya ram

o maa o maa o maa o maa
saat samandar sa tera ik ik aansu hota hain
koi maa jab roti hai to bhagvaan bhi rota hai
pyaar hi pyaar hai dard hi dard hai mamata jisaka naam
o maa o maa o maa o maa, (o maa tujhe salaam - 2)
apane bachche tujhako pyaare (raavan ho ya ram - 3)
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.