Hindi Songs Lyrics

Showing posts with label Mukesh Songs Lyrics. Show all posts
Showing posts with label Mukesh Songs Lyrics. Show all posts

Tuesday, September 3, 2013

You're here: Home › 
› Tel Malish Boot Polish



Song: Tel Malish Boot Polish
Movie: Tel Malish Boot Polish
Singer(s): Mukesh

Mu : tel maalish boot paalish
Ek aana boot paalish do aana tel maalish

Gaadhe paseene ki ye apani kamaai hai
Na to kisi ki chori na koi seenaa-zori
Haathon se roti jo kamaai hai to khaai hai
Cho : ek aana boot paalish ...

Bangale mein rahate nahi rahate hain chaal mein
Kush hi rahe hain yaaron rahen jis haal mein
Phaaqe bhi kaate par maangi nahi paai hai
Cho : ek aana boot paalish ...

Laakhon ki tamanna hai na mahalon ka kyaal hai
Subah-shaam roti mile itana savaal hai
To bhi na jeene de ye duniya duhaai hai
Cho : ek aana boot paalish ...

Duniya mein chhota nahi koi chhote kaam se
Chhota hai jo pet bhare kisi khote kaam se
Haathon ki mehanat mein kaun si buraai hai
Cho : ek aana boot paalish ...


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Tel Malish Boot Paalish



Song: Tel Malish Boot Paalish
Movie: Tel Malish Boot Polish
Singer(s): Mukesh

Tel malish boot paalish
Ek aana boot paalish, do aana tel maalish

Gadhe pasine kee yeh apanee kamaayee hai
Naa toh kisee kee choree, naa koyee sinajoree
Haatho se rotee jo kamaayee hai toh khaayee hai
Ek aana boot paalish......

Bangale me rahate nahee, rahate hain chaal me
Khush hee rahe hain yaaro, rahe jis haal me
Phake bhee kate par maangee nahee paayee hai
Ek aana boot paalish......

Laakho kee tamanna hai, naa mahalo kaa khayaal hai
Subah shaam rotee mile itana savaal hai
Toh bhee naa jine de yeh duneeya duhaayee hai
Ek aana boot paalish......

Duneeya me chhota nahee koyee chhote kaam se
Chhota hai jo pet bhare kisee khote kaam se
Haatho kee mehanat me kaun see buraayee hai
Ek aana boot paalish......


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Tay Kar Ke Badi Door



Song: Tay Kar Ke Badi Door
Movie: Pehli Nazar
Singer(s): Mukesh

Tay kar ke badi door ki purapech dagariya
Ai ishq chale aaye hain ham teri nagariya

Laharaayen hawaaon mein haseenon ke dupatte
Aaye hamein lene ke lie tirachhi nazariya

Ho saamane saj dhaj kie maashooq se majame
Sab aake kahen aao mere baanke sanvariya

Parades se ik aaya hai dil bechane waala
Ai husn teri aaj to khul jaaye bajariya


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Tara Tute Duneeya Dekhe



Song: Tara Tute Duneeya Dekhe
Movie: Malhaar
Singer(s): Mukesh

(Basa lee dil me teree yad, aansu ponchh liye
Rahe too shad, humara hai kya, jiye na jiye)

Tara tute duneeya dekhe, dekha na kisee ne dil tut gaya
Dekha na kisee ne dil tut gaya

Kitane hee tare tute, hoga na kabhee andhiyara
Aasman par bahot hai tare, (dil tha ek humara -2)
Tut na jaye kyun dil us ka, sathee jis ka chhut gaya
Dekha na kisee ne dil tut gaya, tara tute

Chand ko apana dagh hai pyara, chhupee hai koi kahanee
Me bhee chhupaye hun, sine me, (kisee kee ek nishanee -2)
Kaise manau, aansu apane, bhag hee mujh se ruth gaya
Dekha na kisee ne dil tut gaya, tara tute


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Tan Mann Dhan Sab Hai Teraa



Song: Tan Mann Dhan Sab Hai Teraa
Movie: Manchali
Singer(s): Mukesh

Tan mann dhan sab hai teraa bin tere kya hai meraa
Rat din mai tere git gata rahu, tan mann dhan sab......

Kya dharatee kya suraj chanda, jag moh maya ka hai phanda
Mai hun sidha sada banda, jag choro ka hai dera
Tan mann dhan sab......

Kya apana aur kya begana, jan ke kahe dhokha khana
Jivan hai bas aana jana, jogee vala phera
Tan mann dhan sab......


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Tamannaa-e-pareshaan-dil Ne Phir Tumako



Song: Tamannaa-e-pareshaan-dil Ne Phir Tumako
Movie: Beewee Kiraaye Ki
Singer(s): Mukesh, Asha Bhosle

Tamannaa-e-pareshaan-dil ne phir tumako pukaara hai
Zara aakar to dekho haal-e-dil ye dil tumhaara hai
Bhala aayuun to kaise jite ji duniya ne maara hai
Jahaan vaalon ke aage kya karuun dil besahaara hai
Tamannaa-e-pareshaan

Sitaare meri haalat dekh ke chupachaap rote hain
Yahi raaton ka aalam aur yahi din ka nazaara hai
Tamannaa-e-pareshaan

Mujhe tum bhuul jaayo kvaab to tuuta hi karate hain
Siva mere jahaan mein aaj bhi sab kuchh tumhaara hai
Tamannaa-e-pareshaan

Raho chaahe jahaan bhi dil se tum jaane na paayoge
Bhala ho is jahaan ka har koyi dushman hamaara hai
Bhala ho is jahaan ka
Har koyi dushman hamaara hai


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Taaron Me Saj Ke, Apane Suraj Se



Song: Taaron Me Saj Ke, Apane Suraj Se
Movie: Jal Bin Machhli Nritya Bin Bijli
Singer(s): Mukesh

Taaron me saj ke, apane suraj se, dekho dharatee chalee milane
Janakee payal mach gayee halchal anbar sara laga hilane

Hai ghataao kaa, do nain me kajal
Dhup kaa mukh pe dale sunahara sa aanchal
Yu lehrayee lee angadaee, lagee jaise dhanak khilane

Aag see lapate, jalatee huyee rahe
Jee ko dahalaye, bechain tufan kee aahe
Na daregee na rukegee, dekhe kya ho kaha dil ne


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Taaron Kee Thandee Chhainya Ham Tum Mile



Song: Taaron Kee Thandee Chhainya Ham Tum Mile
Movie: Naag Devta
Singer(s): Mukesh, Suman Kalyanpur

(Taaron kee thandee chhainya ham tum mile
O saiyan yaad rahe, o saiyan yaad rahe
Bhigee bhigee mithee ratiya pyaaree pyaaree batiya
Sajanee yaad rahe, o sajanee yaad rahe

Pihu pihu bole kahee dur se papihara, jee dur se papihara
Piya piya bole mora matavara jiyara
Kaliyo pe bhanvara dole haule haule
Saiyan yaad rahe...

Late ghungharalee kaalee gora gora rup hai, jo gora gora rup hai
Kaisa yeh jadu dekha chhaanv me ghup hai
Ghunghat me chhup ke jhaanke nain tore banke
Sajanee yaad rahe...

Laharo pe chham chham naache chanda kee chandaniya
Ban than ke aai dekho rat kee dulhaniya
Taaron kee baarat aai baje shahanaiya
Saiyan yaad rahe...


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Suraj Se Jo Kiran Ka Naata



Song: Suraj Se Jo Kiran Ka Naata
Movie: Hungama (1971)
Singer(s): Mukesh, Lata Mangeshkar

Suraj se jo kiran ka naata, saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta, tu jaane ya naa jaane
Phul mein jaise basati hai khushbu, tu hai basa mere mann mein
Pyaar hai tera jivan mera, tu maane ya na maane
Suraj se jo kiran ka naata

Pehali baar tujhe dekha toh hum aise sudh budh bhule - (2)
Ho jaise saawan ki pehali purwaayi dharati ko chume
Dharati se jo nil gagan ka, saawan se purwaayi ka
Suraj se jo kiran ka naata, saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta, tu jaane ya naa jaane
Suraj se jo kiran ka naata

Do din ki dekha dekhi mein yug yug ke manmeet mile - (2)
Tum bole do bol ke mujhako janam janam ke geet mile
Taar se do jhankaar ka naata, geeton se jo sargam ka
Suraj se jo kiran ka naata, saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta, tu jaane ya naa jaane
Suraj se jo kiran ka naata hmm hmm mm mm mm...


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Suno Jee Suno Hamaree Bhee Suno



Song: Suno Jee Suno Hamaree Bhee Suno
Movie: Ek Dil Sau Afsane
Singer(s): Mukesh

Suno jee suno hamaree bhee suno
Ajee maharban hamaree bhee suno
Na tappa na thumaree, gajal hai na kajaree
Yah raginee hai pyar kee, suno jee suno ajee meherban
Hamaree bhee suno

Tarana hamara jamane se nyara
Har ek sur me dil hai dhadakata huwa
Har ek bol pyara kee jaise sitara
Akela gagan me chamakata huwa suno jee suno

Isharo me bolu, juban tak na kholu
Nigaho se kah du samajh lo agar
Na yah bekudee hai, na divanagee hai
Mujhe toh lagee hai tumharee najar
Suno jee suno

Suno mere jee kee, meree aarju kee
Tamanna yahee thee ke tum ho karib
Yah chilman hata do, vah jhalkee dikha do
Kee abb toh jaga do hamare nasib
Suno jee suno


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Suniye To Zara Kaha Ruth Ke Chale



Song: Suniye To Zara Kaha Ruth Ke Chale
Movie: Aankh Micholi (1962)
Singer(s): Mukesh

Suniye to zara kaha ruth ke chale
Yu baat badhaya nahi karte
Suniye to zara
Ha memsab
Ji memsab
Suniye to zara kaha ruth ke chale
Yu baat badhaya nahi karte
Jis dil me sanam tasvir ho teri
Uss ko thukraya nahi karte
Suniye to zara
Ha memsab
Ji memsab

Chhodo gussa
Sambhalo zara aanchal
Dekho dekho ulajh gayi payal
Chhodo gussa
Sambhalo zara aanchal
Dekho dekho ulajh gayi payal
Aji ho ke khafa yu ekdam
Uth ke jaya nahi karte
Suniye to zara kaha ruth ke chale
Yu baat badhaya nahi karte
Suniye to zara
Ha memsab
Ji memsab


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Sun Pyare Sajana Re Mann Gaye Git Suhane



Song: Sun Pyare Sajana Re Mann Gaye Git Suhane
Movie: Insaaf Ka Mandir
Singer(s): Asha Bhosle, Mukesh

Sun pyare sajana re mann gaye git suhane
Giton me pyar hai tera too mane ya na mane
Dalee dalee matavalee rut aayee phul sajane
Phulo me rup hai tera too mane ya na mane
Sun pyare sajna.....

Too kehde toh jhil see gehree aankho me kho jau
Aaj mera jee chahe teree banhon me leharau
Too kahade toh........
Aaj mera jee chahe........
Git milan ke gau.........

Dalee dalee aa aa aa
Matavalee aa aa aa
Aayee phul sajane
Phulo me rup........
Sun pyare sajna..........


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Sun More Rasiya Sun Mann Basiya



Song: Sun More Rasiya Sun Mann Basiya
Movie: Madan Manjari
Singer(s): Mukesh, Suman Kalyanpur

Sun more rasiya sun mann basiya, chhod ke abb nahee jana
Pyar nibhaunga dil se na jaunga, mai toh teraa hee divana

Hontho pe mere piya teraa hee nam hai
Mai hu teree dasee too meraa ghanashyam hai
Tere liye chhoda maine sara jamana
Sun more rasiya, pyar nibhaunga

Aandhee se khele chahe mausam bahar ka
Bujhane na dunga kabhee dipak pyar ka
Chamakega chand banke pyar ka fasana
Pyar nibhaunga, sun more rasiya pyar nibhaunga.......


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Sun Chaand Meree Yeh Daastaan



Song: Sun Chaand Meree Yeh Daastaan
Movie: Naag Jyoti
Singer(s): Mukesh

(Sun chaand meree yeh daastaan, mai kahu tujhe ya ke na kahu
Teree chandanee tere paas hai, mujhe yeh bata mai kaha rahu
Sun chaand meree yeh...

Khilee rain me dekho chain se, hai yeh saara aalam so raha
Tere inn sitaaro kee chhaanv me, mai akela chup chaap so raha
Lagee aag birah kee ang me, mai sahu ise ya ke na sahu
Sun chaand meree yeh...

Woh najar jo dil me utar gayee, jaise chubh gaya koi shul ho
Woh hathelee par tera mukh saja, jaise phul par koi phul ho
Yu bahe nadee teree yaad kee, mai bahu yahan ya ke na bahu
Sun chaand meree yeh..


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Sun Baal Brahmachaari



Song: Sun Baal Brahmachaari
Movie: Sanyasi
Singer(s): Lata Mangeshkar, Mukesh

Om namash shivay...
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari - 2
Tere mann mein preet ka rang bhar du
Aaj tapasya bhang kar du
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari - 2
Tere mann mein preet ka rang bhar du
Aaj tapasya bhang kar du
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari

(Aake khadi hu dwaare tere
Kyu baitha hai aankhen phere) - 2
Inn aankhon ki madira pee le - 2
Chhodne wala has kar jee le
Ari sun ru watinam santjati kisi
Aur pe dore daalo
Meri maa mujhe bacha lo
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari
Tere mann mein preet ka rang bhar du
Aaj tapasya bhang kar du
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari

(Ban than ke main aaise nikali
Jaise saawan mein chamke bijli) - 2
Aaise meeri bharpur jawani - 2
Aag se jaise lipta paani
Hey raamji duhaai shurnakha aayi
Apane lakshaman ko sambhalo
Meri maa mujhe bacha lo
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari
Tere mann mein preet ka rang bhar du
Aaj tapasya bhang kar du
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari

(Bana jawani mein tu jogi
Teri saadhana poori na hogi) - 2
Poori na hogi
Roop mein mere itni shakti
Karne lagega meri bhakti
Aye nikat nikat natmast vikat
Koi iska ticket kata do
Meri maa mujhe bacha lo
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari - 2
Tere mann mein preet ka rang bhar du
Aaj tapasya bhang kar du
Sun baal brahmachari main hu kanya kunwari - 2


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Suhana Safar Aur Yeh Mausam Hasin



Song: Suhana Safar Aur Yeh Mausam Hasin
Movie: Madhumati
Singer(s): Mukesh

Suhana safar aur yeh mausam hasin - (2)
Humein darr hai ham kho na jaye kahee
Suhana safar....

(Yeh kaun hansta hai phulo me chhupkar
Bahar bechain hai jiski dhun par) - (2)
Kahee gungun kahee runjhun, kee jaise nache jamin
Suhana safar.....

(Yeh goree nadiyo ka chalna uchhalkar
Kee jaise allhad chale pee se milkar) - (2)
Pyare pyare yeh najare nisar hai har kahee
Suhana safar....

Ho ho ho......
(Woh aasman jhuk raha hai jamin par
Yeh milan humne dekha yahin par) - (2)
Meree duneeya, mere sapne milenge shayad yahee
Suhana safar....


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Sochata Hun Ye Kya



Song: Sochata Hun Ye Kya
Movie: Hamaari Yaad Aayegi
Singer(s): Mukesh, Lata Mangeshkar

Sochata hu yeh kya, yeh kya kiya mainne
Kya yeh saradard ley liya mainne
Sochatee hu yeh kya, yeh kya kiya mainne
Kyon yeh saradard ley liya mainne

Kaun hai yeh, kahase aayee hai
Yeh toh apanee nahee parayee hai
Aisee chanchal sharir aur jhuthee
Phir bhee dil ko yeh aisee bhayee hai
Hath hatho me ley liya mainne
Dile nadan yeh kya kiya mainne
Sochata hu yeh kya...

Dekh kar yu woh muskuraya kyu
Muskuraya tha pas aaya kyu
Nak itanee see aap itane se
Phir bhee meree najar ko bhaya kyu
Isko arpan kiya hiya mainne
Dile nadan yeh kya kiya mainne
Rat din ishq ka jo rona tha
Lijiye ho gaya jo hona tha

Yeh jo kafir dhadak raha hai yaha
Iss ne ek din mujhe dubna tha
Dile nadan yeh kya kiya mainne
Jo kiya theek hee kiya mainne
Dil ka raushan kiya, diya mainne
Sochata hu yeh kya...


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Socha Tha Pyaar Hum Na Karenge



Song: Socha Tha Pyaar Hum Na Karenge
Movie: Bluff Master (1963)
Singer(s): Mukesh


(Socha tha pyaar hum na karenge, surat pe yaar hum na marenge
Phir bhi kisi pe dil aa gaya) - (2)
Socha tha pyaar hum na karenge

Bahot khaak duniya ki chhani ki hamane - (2)
Abb tak kisi ki na maani thi hamane - (2)
Dhoke mein dil kaise aa gaya
Socha tha pyaar hum na karenge, surat pe yaar hum na marenge
Phir bhi kisi pe dil aa gaya, socha tha pyaar hum na karenge

Agar dil na dete bada naam karate - (2)
Magar pyaar se bada kaam karate - (2)
Dil ko yahi kaam bha gaya
(Socha tha pyaar hum na karenge, surat pe yaar hum na marenge
Phir bhi kisi pe dil aa gaya) - (2)
Socha tha pyaar hum na kareng


View all songs lyrics of Mukesh.

You're here: Home › 
› Sitaro Unase Kahana Najaro Unase Kahana



Song: Sitaro Unase Kahana Najaro Unase Kahana
Movie: Jai Bhawaani
Singer(s): Mukesh, Suman Kalyanpur

Shama se koyee kah de kee tere rahate rahate andhera ho raha
Kee tum ho vaha toh milane ko yaha patanga ro raha

Sitaro unase kahana najaro unase kahana saja ho rahee
Kee tum ho vaha toh milane ko yaha shama ro rahee
Sitaro unase kahana

Tadapate pyar ke hee didar magar divana hame roke
Shama se koyee aise jale jaise patange se juda ho ke
Duhayee dete dete judayee sahate sahate andhera ho raha
Kee tum ho vaha toh milan ko yaha patanga ro raha
Shama se koyee kah de

Bandhee janjir magar bepir teree tasvir nahee jatee
Sitam kee bat sahe ham ghat milan kee bat nahee aatee
Kee aahe bharate bharate andhera ho raha
Kee tum ho vaha toh milane ko yaha patanga ro raha
Sitaro unase kahana


View all songs lyrics of Mukesh.