You're here: Home › 
› Main Toh Deewaana Deewaana Deewaana



Song: Main Toh Deewaana Deewaana Deewaana
Movie: Milan
Singer(s): Mukesh

(Mubaarak ho sabko sama yeh suhaana
Main khush hoon mere aansuo pe na jaana
Main toh deewaana, deewaana, deewaana -2) - (2)

Hajaaro tarah ke yeh hote hai aansu - (2)
Agara dil mein ghum ho toh rote hai aansu
Khushi mein bhi aankhen -2, bhigote hai aansu
Inhein jaan sakata nahi yeh jamaana
Main khush hoon mere aansuo pe na jaana
Main toh deewaana, deewaana, deewaana - (2)

Yeh shehanaayiya de rahi hai duhaayi - (2)
Koyi cheez apani huyi hai paraayi
Kisi se milan hai -2, kisi se judaayi
Naye rishton ne toda naata puraana
Main khush hoon mere aansuo pe na jaana
Main toh deewaana, deewaana, deewaana - (2)

Yeh bole samay ki nadi ka bahaav - (2)
Yeh baabul ki galiya, yeh maajhi ki naav
Chali ho toh gori -2, suno bhul jaao
Na phir yaad karna, na phir yaad aana
Main khush hoon mere aansuo pe na jaana
Main toh deewaana, deewaana, deewaana - (2)
Mubaarak ho sabko sama yeh suhaana
Main khush hoon mere aansuo pe na jaana
Main toh deewaana, deewaana, deewaana - (2)

View all songs lyrics of Mukesh.