You're here: Home › 
› Jaana Tumhaare Pyaar Mein


Song: Jaana Tumhaare Pyaar Mein
Movie: Sasural (1961)
Singer(s): Mukesh

 (Jaana tumhaare pyaar mein shaitaan ban gaya hoon
Kya kya banana chaaha tha beimaan ban gaya hoon jaana) - (2)
Jaana tumhaare pyaar mein

(Hum toh deewaane hai tere naam ke
Dil luta baithe hai jigar thaam ke) - (2)
Ishq ne hamako nikkama kar diya
Warana hum bhi aadami the kaam ke
Itana main gir chuka hoon ki haiwaan ban gaya hoon
Kya kya banana chaaha tha beimaan ban gaya hoon jaana
Jaana tumhaare pyaar mein shaitaan ban gaya hoon
Kya kya banana chaaha tha beimaan ban gaya hoon jaana
Jaana tumhaare pyaar mein

(Abb toh bas patthar ki ek tasbeer hoon
Ya samajh lo ek buteh pepir hoon) - (2)
Apane pairon bandh gayi jo pyaar mein
Aisi ik ulajhi huyi janjeer ho
Haalat ko apane dekh ke hairaan ban gaya hoon
Kya kya banana chaaha tha beimaan ban gaya hoon jaana
Jaana tumhaare pyaar mein shaitaan ban gaya hoon
Kya kya banana chaaha tha beimaan ban gaya hoon jaana
Jaana tumhaare pyaar mein

View all songs lyrics of Mukesh.