Song: Tareef Us Khuda Ki
Singer: Jagjit Singh

taareef us khuda ki jis ne jahaan banaya
kaisi zameen banaayi, kya aasamaan banaya

mitti se bel boote kya khushnuma ugaaye
pehna ke sabz khillat unko jawaan banaaya

suraj se ham ne payi garmi bhi roshani bhi
kya khoob chashma tu ne ae meharbaan banaya

har cheez se hai us ki kaarigari tapakti
ye kaarkhana tu ne kab raigaan banaya
 


View all songs lyrics of Jagjit Singh.