Song: Kabhi Toh Aasman Se Chaand Utare
Singer: Jagjit Singh

kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye

tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye

woh mera naam sun kar kuchh zara sharma se jaate hai

bahut mumkin hai kal iska mohabbat naam ho jaaye

zara sa muskurakar haal poochho dil behal jaaye

hamara kaam ho jaaye tumhara naam ho jaaye
hamara kaam ho jaaye tumhara naam ho jaaye
kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye

ujale apani yaadon ke hamare saath rehne do

na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
shaam ho jaaye
shaam ho jaaye

View all songs lyrics of Jagjit Singh.